jo ansu na hote aankho me ... to aankhe itni khoobsurat na hoti ....!!!!
jo dard na hota dil me ... to khushi ki kimat pata na hoti ...!!!!
jo bewafai na ki hoti waqt ne ... to wafa ki kabhi chahat na hoti ...!!!!
agar mangne se puri ho jati murade ..... to us khuda ki khabhi zarurat na hoti
ek mulaqat karo humse inayat samajhkar,
har cheez ka hisab denge quyamat samajhkar,
meri dosti par kabhi shaq na karna,
hum dosti bhi karte hain ibadat samajhkar.
ehsas bahut hoge jab chale jayenge
royenge magar aansu nahi ayenge
jab saath na de koi to awaz hame dena
asmaan par bhi hongae to laut ke ayenge......
dekha hai zindagi ko kai baar aazma kar
dete dost dhoka dil k qareeb aakar
lagne laga hai darr har ajnabi se mujhko
barso pada hai rona ek baar muskurakar...
मुझे मेरा घर याद आता है जब भी कही रुकता है शाम का सूरज मुझे वो पल याद आता है ......
बादलो का आना वो पूरे आसमा मे बिखर जाना याद आता है .........
शाम को अकसर जब भी मंदिरों मे बजती थी घंटी तो दिए की बाती का टिमटिमाना याद आता है वो चाँद के आने का इंतज़ार करना ओर रात को वो छत पर तारो को गिनना याद आता है वो ठंड की सुबह वो शामों को फेला धुआ याद आता है क्या कहू मुझे मेरे घर का हर कोना याद आता है वो ममता का प्यार वो सुबह वो शामों को हर बिता पल याद आता है
Mukurahat teri khushi se milti hai,
Dil ko rahat teri hasi se mailti hai,
Chhod na dena kabhi baat karna tum,
Dil ki yeh dhadkan teri awaaz se chalti hai.
Yaadon me kabhi aap bhi khoye honge...
Khuli aankho se kabhi aap bhi soye honge...
Mana ki hasna aadat hai gum chupaane ki par...
Haste huye kabhi aap bhi rooye honge...
Kash yeh zindagi haseen hoti,
Sirf chahne se har dua kabool hoti,
Kahne ko to sab apne hai,
Par koi aisa hota,
Jise mere dard se takleef hoti.
na ho dil mein agar himmat to mohabbat nahi milti
khairat mein itni badi daulat nahi milti
kuchh log is saher mein hamse bhi khafa hain
har-ek se apni bhi tabiyat nahi milti
dekha tha jise maine koi aur tha shayad
wo kaun hai jisse teri surat nahi milti
hanste huye chehron se hai duniya ki ye zeenat
rone ko yahan waise bhi fursat nahi milti
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

0 comments:
Post a Comment